wo hasraton ka meri qatl-e-am kar denge
vo hasratoñ kā mirī qatl-e-'ām kar deñge
kisī bhī roz vo is dil kā kaam kar deñge
tumhārī zulf ke phande se ḳhud-kushī kar ke
tumhāre zulm kā qissa tamām kar deñge
hamāre saath raho vādī-e-suḳhan meñ zarā
hamāre saath chalo ḳhush-kalām kar deñge
sahar se baiThe haiñ farsh-e-nazar bichhā kar ham
vo aate aate yahāñ tak to shaam kar deñge
bas ek baar asīr-e-dayār-e-dil ho jaao
zamāne bhar ko tumhārā ġhulām kar deñge
firāq-e-yār meñ 'mariyam' na.ī ġhazal kah kar
har ek harf-e-suḳhan us ke naam kar deñge
wo hasraton ka meri qatl-e-'am kar denge
kisi bhi roz wo is dil ka kaam kar denge
tumhaari zulf ke phande se KHud-kushi kar ke
tumhaare zulm ka qissa tamam kar denge
hamare sath raho wadi-e-suKHan mein zara
hamare sath chalo KHush-kalam kar denge
sahar se baiThe hain farsh-e-nazar bichha kar hum
wo aate aate yahan tak to sham kar denge
bas ek bar asir-e-dayar-e-dil ho jao
zamane bhar ko tumhaara ghulam kar denge
firaq-e-yar mein 'mariyam' nai ghazal kah kar
har ek harf-e-suKHan us ke nam kar denge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.