aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo is tarah se meri zindagi ke sath rahe

Kamal Lakhnavi

wo is tarah se meri zindagi ke sath rahe

Kamal Lakhnavi

MORE BYKamal Lakhnavi

    vo is tarah se mirī zindagī ke saath rahe

    ki jaise phuul chaman meñ kalī ke saath rahe

    ye hādsāt-e-alam kab kisī ke saath rahe

    rahe to sirf mirī zindagī ke saath rahe

    har ek lamha-e-ġham phir sukūñ meñ Dhal jaa.e

    ye aadmī jo agar aadmī ke saath rahe

    baḌī ḳhushī hai hameñ apnī sāda-lauhī

    fareb jis ne diyā ham usī ke saath rahe

    jinheñ ham apnā samajhte rahe zamāne meñ

    fareb ban ke vahī zindagī ke saath rahe

    ab is tarah mire ahbāb mujh se milte haiñ

    ki jaise ajnabī ik ajnabī ke saath rahe

    panāh na sake dāman-e-mohabbat meñ

    vo hādse jo mirī zindagī ke saath rahe

    ik aisā vaqt bhī aaya hai zindagī meñ 'kamāl'

    zabān rakhte hue ḳhāmushī ke saath rahe

    wo is tarah se meri zindagi ke sath rahe

    ki jaise phul chaman mein kali ke sath rahe

    ye hadsat-e-alam kab kisi ke sath rahe

    rahe to sirf meri zindagi ke sath rahe

    har ek lamha-e-gham phir sukun mein Dhal jae

    ye aadmi jo agar aadmi ke sath rahe

    baDi KHushi hai hamein apni sada-lauhi ki

    fareb jis ne diya hum usi ke sath rahe

    jinhen hum apna samajhte rahe zamane mein

    fareb ban ke wahi zindagi ke sath rahe

    ab is tarah mere ahbab mujh se milte hain

    ki jaise ajnabi ek ajnabi ke sath rahe

    panah pa na sake daman-e-mohabbat mein

    wo hadse jo meri zindagi ke sath rahe

    ek aisa waqt bhi aaya hai zindagi mein 'kamal'

    zaban rakhte hue KHamushi ke sath rahe

    Source:

    Lahja-e-Ghazal (Pg. 173)

    • Author: Kamal Lakhnavi
      • Publisher: Kamal Lakhnavi
      • Year of Publication: 1986
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now