wo jab apni kitab likkhega
vo jab apnī kitāb likkhegā
mujh ko shāyad gulāb likkhegā
thoḌe se apne ḳhvāb likkhegā
phir mujhe ḳhvāb ḳhvāb likkhegā
yādeñ merī vo jam' kartā hai
phir koī intiḳhāb likkhegā
rāste meñ jo shaam hogī to
vo nayā āftāb likkhegā
kyā kahā bhuul jā.egā mujh ko
dekh lenā janāb likkhegā
merī āñkhoñ ko yaad kartā hai
zāhiran vo sharāb likkhegā
hai 'salīl' merā muntazir ab bhī
vo mujhe be-hisāb likkhegā
wo jab apni kitab likkhega
mujh ko shayad gulab likkhega
thoDe se apne KHwab likkhega
phir mujhe KHwab KHwab likkhega
yaaden meri wo jam' karta hai
phir koi intiKHab likkhega
raste mein jo sham hogi to
wo naya aaftab likkhega
kya kaha bhul jaega mujh ko
dekh lena janab likkhega
meri aankhon ko yaad karta hai
zahiran wo sharab likkhega
hai 'salil' mera muntazir ab bhi
wo mujhe be-hisab likkhega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.