wo jafakar o sitamgar bahut achchhe hain
vo jafākār o sitamgār bahut achchhe haiñ
aur ham haiñ ki vafādār bahut achchhe haiñ
kār-e-duniyā meñ ulajhne se hameñ kyā miltā
ham tirī yaad meñ be-kār bahut achchhe haiñ
sirf nākāra haiñ āvāra nahīñ haiñ hargiz
terī zulfoñ ke giraftār bahut achchhe haiñ
had se guzregā añdherā to saverā hogā
haal abtar sahī āsār bahut achchhe haiñ
shahr kī tarh nahīñ gaañv meñ afrā-tafrī
go makānāt na bāzār bahut achchhe haiñ
apnī bāhoñ meñ sameTe hue rahte haiñ mujhe
mere ghar ke dar-o-dīvār bahut achchhe haiñ
ham is e'zāz ke qābil to nahīñ haiñ lekin
log karte haiñ bahut pyaar bahut achchhe haiñ
din bure bhī hoñ agar bazm-e-butāñ meñ ai dil
bahut achchhe haiñ mire yaar bahut achchhe haiñ
mast nazroñ se tavāzo' to kareñ aap kabhī
ham bahakte nahīñ mai-ḳhvār bahut achchhe haiñ
jo suḳhan-fahm nahīñ jhuum rahe haiñ vo bhī
ai 'sha'ūr' aap ke ash'ār bahut achchhe haiñ
wo jafakar o sitamgar bahut achchhe hain
aur hum hain ki wafadar bahut achchhe hain
kar-e-duniya mein ulajhne se hamein kya milta
hum teri yaad mein be-kar bahut achchhe hain
sirf nakara hain aawara nahin hain hargiz
teri zulfon ke giraftar bahut achchhe hain
had se guzrega andhera to sawera hoga
haal abtar sahi aasar bahut achchhe hain
shahr ki tarh nahin ganw mein afra-tafri
go makanat na bazar bahut achchhe hain
apni bahon mein sameTe hue rahte hain mujhe
mere ghar ke dar-o-diwar bahut achchhe hain
hum is e'zaz ke qabil to nahin hain lekin
log karte hain bahut pyar bahut achchhe hain
din bure bhi hon agar bazm-e-butan mein ai dil
bahut achchhe hain mere yar bahut achchhe hain
mast nazron se tawazo' to karen aap kabhi
hum bahakte nahin mai-KHwar bahut achchhe hain
jo suKHan-fahm nahin jhum rahe hain wo bhi
ai 'sha'ur' aap ke ash'ar bahut achchhe hain
- Book : Ab Main Aksar Main Nahi Rehta (Pg. 140)
- Author : Anwar Shaoor
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : 3rd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.