wo jin ka tan badan dhani bahut hai
vo jin kā tan badan dhānī bahut hai
diloñ meñ un ke vīrānī bahut hai
libās-e-nau-ba-nau hāsil haiñ jin ko
unhīñ ke tan pe 'uryānī bahut hai
maiñ ik muddat se yuuñ hī jal rahā huuñ
mire chāroñ taraf paanī bahut hai
taqāzā un se kyā karte vafā kā
ki dil apnā bhī sailānī bahut hai
na barkhā hai na koī band TuuTā
nadī meñ phir bhī tuġhyānī bahut hai
ḳhudā jaane ki man us kā hai kaisā
badan to us kā nūrānī bahut hai
jise dekhā thā kal aaj us se mil kar
na jaane kyoñ pashemānī bahut hai
nigāhoñ meñ basīrat ho to 'najmī'
añdheroñ meñ bhī tābānī bahut hai
wo jin ka tan badan dhani bahut hai
dilon mein un ke virani bahut hai
libas-e-nau-ba-nau hasil hain jin ko
unhin ke tan pe 'uryani bahut hai
main ek muddat se yun hi jal raha hun
mere chaaron taraf pani bahut hai
taqaza un se kya karte wafa ka
ki dil apna bhi sailani bahut hai
na barkha hai na koi band TuTa
nadi mein phir bhi tughyani bahut hai
KHuda jaane ki man us ka hai kaisa
badan to us ka nurani bahut hai
jise dekha tha kal aaj us se mil kar
na jaane kyon pashemani bahut hai
nigahon mein basirat ho to 'najmi'
andheron mein bhi tabani bahut hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.