wo jo ashk the meri aankh mein kahin rakh diye hain sanbhaal kar

wo jo ashk the meri aankh mein kahin rakh diye hain sanbhaal kar
Ashfaq Shaheen
MORE BYAshfaq Shaheen
vo jo ashk the mirī aañkh meñ kahīñ rakh diye haiñ sañbhāl kar
tujhe raas ho tirī har ḳhushī koī ranj kar na malāl kar
mujhe fāsloñ se tū mat sunā ye hikāyateñ mire bad-gumāñ
mire paas aa yahāñ baiTh jā maiñ javāb duuñ tū savāl kar
tirā ho guzar jo sabā kabhī sar-e-bazm-e-yār to pūchhnā
tujhe kyā milā ye batā zarā kisī bā-vafā ko nikāl kar
kahīñ ranj-o-ġham kī tamāzateñ mirī chashm-e-nam ko bujhā na deñ
mirī aañkh meñ koī bhar gayā ka.ī sāgaroñ ko ubaal kar
mirī shā'irī mire roz-o-shab tirī chāhatoñ kā tavāf haiñ
mujhe baḳhsh de mirī rāhateñ mirī bebasī kā ḳhayāl kar
wo jo ashk the meri aankh mein kahin rakh diye hain sanbhaal kar
tujhe ras ho teri har KHushi koi ranj kar na malal kar
mujhe faslon se tu mat suna ye hikayaten mere bad-guman
mere pas aa yahan baiTh ja main jawab dun tu sawal kar
tera ho guzar jo saba kabhi sar-e-bazm-e-yar to puchhna
tujhe kya mila ye bata zara kisi ba-wafa ko nikal kar
kahin ranj-o-gham ki tamazaten meri chashm-e-nam ko bujha na den
meri aankh mein koi bhar gaya kai sagaron ko ubaal kar
meri sha'iri mere roz-o-shab teri chahaton ka tawaf hain
mujhe baKHsh de meri rahaten meri bebasi ka KHayal kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.