Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo jo be-niyaz-e-jahan kare mujhe us nazar ki talash hai

JaiKrishn Chaudhry Habeeb

wo jo be-niyaz-e-jahan kare mujhe us nazar ki talash hai

JaiKrishn Chaudhry Habeeb

MORE BYJaiKrishn Chaudhry Habeeb

    vo jo be-niyāz-e-jahāñ kare mujhe us nazar talāsh hai

    jo tujhe banā de ġham-āshnā mujhe us asar talāsh hai

    na rahe jahāñ pe pahuñch ke phir kisī dar pe jaane aarzū

    jahāñ ishq bhī hai aabrū mujhe aise dar talāsh hai

    jahāñ bikhrī pyaar dāstāñ jahāñ zarra zarra hai āstāñ

    vo mirī zamīñ mirā āsmāñ usī rahguzar talāsh hai

    haiñ tujhī se husn shoḳhiyāñ haiñ tujhī se ishq garmiyāñ

    dil-e-zinda terī talāsh mirī umr bhar talāsh hai

    vo bhī kyā maze thī zindagī jo safar safar meñ guzar ga.ī

    nahīñ manziloñ meñ vo dil-kashī mujhe phir safar talāsh hai

    jahāñ raqs meñ ho kiran kiran jahāñ ġhunche chaTkeñ chaman chaman

    nazar aa.e jis meñ vo sīm-tan mujhe us sahar talāsh hai

    ye tabassum un thā luT gayā sar-e-rāh dil ye qāfila

    vo jo be-ḳhabar chalā gayā usī be-ḳhabar talāsh hai

    jahāñ dard-o-dāġh justujū jahāñ nit na.ī na.ī aarzū

    ki jise talāsh-e-sukūñ nahīñ mujhe us jigar talāsh hai

    wo jo be-niyaz-e-jahan kare mujhe us nazar ki talash hai

    jo tujhe bana de gham-ashna mujhe us asar ki talash hai

    na rahe jahan pe pahunch ke phir kisi dar pe jaane ki aarzu

    jahan ishq ki bhi hai aabru mujhe aise dar ki talash hai

    jahan bikhri pyar ki dastan jahan zarra zarra hai aastan

    wo meri zamin mera aasman usi rahguzar ki talash hai

    hain tujhi se husn ki shoKHiyan hain tujhi se ishq ki garmiyan

    dil-e-zinda teri talash hi meri umr bhar ki talash hai

    wo bhi kya maze ki thi zindagi jo safar safar mein guzar gai

    nahin manzilon mein wo dil-kashi mujhe phir safar ki talash hai

    jahan raqs mein ho kiran kiran jahan ghunche chaTken chaman chaman

    nazar aae jis mein wo sim-tan mujhe us sahar ki talash hai

    ye tabassum un ka tha luT gaya sar-e-rah dil ka ye qafila

    wo jo be-KHabar sa chala gaya usi be-KHabar ki talash hai

    jahan dard-o-dagh ki justuju jahan nit nai nai aarzu

    ki jise talash-e-sukun nahin mujhe us jigar ki talash hai

    Source:

    نغمۂ زندگی (Pg. 26)

    • Author: جے کرشن چودھری حبیب
      • Publisher: جے کرشن چودھری حبیب
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now