wo jo lagte the hamein aag bujhane wale
vo jo lagte the hameñ aag bujhāne vaale
the vahī log to bastī ko jalāne vaale
raqs darvesh kā baḌhtā hī chalā jaatā hai
thakte jaate haiñ sabhī Dhol bajāne vaale
aa gale mil ke mirī niiñd se ruḳhsat ho jā
aur bhī log haiñ kuchh ḳhvāb meñ aane vaale
log is baat pe ghar apne jalā dete haiñ
paas baiThe haiñ ka.ī aag bujhāne vaale
ye mashīñ dil kī kabhī Thiik chalā kartī thī
ab to purze haiñ sabhī shor machāne vaale
ye bhī kyā ḳhuub hai 'ashfāq' chale aate ho
ham abhī tum hī ko the paas bulāne vaale
wo jo lagte the hamein aag bujhane wale
the wahi log to basti ko jalane wale
raqs darwesh ka baDhta hi chala jata hai
thakte jate hain sabhi Dhol bajaane wale
aa gale mil ke meri nind se ruKHsat ho ja
aur bhi log hain kuchh KHwab mein aane wale
log is baat pe ghar apne jala dete hain
pas baiThe hain kai aag bujhane wale
ye mashin dil ki kabhi Thik chala karti thi
ab to purze hain sabhi shor machane wale
ye bhi kya KHub hai 'ashfaq' chale aate ho
hum abhi tum hi ko the pas bulane wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.