Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo jo sab kuchh hai use dur biTha rakkha hai

Syed Safi Hasan

wo jo sab kuchh hai use dur biTha rakkha hai

Syed Safi Hasan

MORE BYSyed Safi Hasan

    vo jo sab kuchh hai use duur biThā rakkhā hai

    ḳhvāhisheñ haiñ jinheñ ma.abūd banā rakkhā hai

    kuchh to hai tīrgī-e-dil meñ ujāle ke liye

    nahīñ hai tirī yādoñ ko bulā rakkhā hai

    har koī apne partav meñ hai sargarm-e-safar

    maiñ ne māhaul ko ā.īna dikhā rakkhā hai

    us bātin bhī hai ḳhurshīd-e-qayāmat tarah

    ye jo ik taaq meñ chhoTā diyā rakkhā hai

    ek lahza mirī tanhā.ī meñ aa kar dekho

    maiñ ne zindāñ meñ bharā shahr basā rakkhā hai

    sar-e-darbār jo pūchho to mirā jurm hai ye

    maiñ ne kyoñ shahr meñ āñkhoñ ko khulā rakkhā hai

    kabhī do bol mohabbat ke bhī ai jān-e-'safī'

    jab bhī dekho tire hoñToñ pe lagā rakkhā hai

    wo jo sab kuchh hai use dur biTha rakkha hai

    KHwahishen hain jinhen mabud bana rakkha hai

    kuchh to hai tirgi-e-dil mein ujale ke liye

    tu nahin hai teri yaadon ko bula rakkha hai

    har koi apne hi partaw mein hai sargarm-e-safar

    main ne mahaul ko aaina dikha rakkha hai

    us ka baatin bhi hai KHurshid-e-qayamat ki tarah

    ye jo ek taq mein chhoTa sa diya rakkha hai

    ek lahza meri tanhai mein aa kar dekho

    main ne zindan mein bhara shahr basa rakkha hai

    sar-e-darbar jo puchho to mera jurm hai ye

    main ne kyon shahr mein aankhon ko khula rakkha hai

    kabhi do bol mohabbat ke bhi ai jaan-e-'safi'

    jab bhi dekho tere honTon pe laga rakkha hai

    Source :
    • Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 366)
    • Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now