wo jo sabhi KHudaon ka ek hai KHuda mere aziz
vo jo sabhī ḳhudāoñ kā ik hai ḳhudā mire 'azīz
tum ko mile to bhejnā us kā pata mire 'azīz
us ne ḳhush-āmdīd agar tum ko nahīñ kahā to kyā
saikḌoñ minnatoñ ke baa'd dar to khulā mire 'azīz
lahroñ ne jhūm-jhūm kar chheḌā batoñ ke ġhol ko
nahr ke ās-pās thī aisī havā mire 'azīz
ye to baqā kī jang thī is ko to jītnā hī thā
tum ne sipar hī Daal dī kyā ye kiyā mire 'azīz
ek qadīm shaam ko raqs kiyā pahan ke maiñ
hijr meñ kaam aa ga.ī ye bhī qabā mire 'azīz
jā.iye chhūT dī ga.ī aap ko qatl-e-'ām kī
aap haiñ ‘urf-e-‘ām meñ rāh-numā mire 'azīz
wo jo sabhi KHudaon ka ek hai KHuda mere 'aziz
tum ko mile to bhejna us ka pata mere 'aziz
us ne KHush-amdid agar tum ko nahin kaha to kya
saikDon minnaton ke ba'd dar to khula mere 'aziz
lahron ne jhum-jhum kar chheDa baton ke ghol ko
nahr ke aas-pas thi aisi hawa mere 'aziz
ye to baqa ki jang thi is ko to jitna hi tha
tum ne sipar hi Dal di kya ye kiya mere 'aziz
ek qadim sham ko raqs kiya pahan ke main
hijr mein kaam aa gai ye bhi qaba mere 'aziz
jaiye chhuT di gai aap ko qatl-e-'am ki
aap hain ‘urf-e-‘am mein rah-numa mere 'aziz
- Book : Aakhiri Ishq Sabse Pahle Kiya (Pg. 105)
- Author : Nomaan Shauque
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.