Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo kafir aashna na-ashna yun bhi hai aur yun bhi

Jigar Moradabadi

wo kafir aashna na-ashna yun bhi hai aur yun bhi

Jigar Moradabadi

MORE BYJigar Moradabadi

    vo kāfir āshnā nā-āshnā yuuñ bhī hai aur yuuñ bhī

    hamārī ibtidā intihā yuuñ bhī hai aur yuuñ bhī

    ta'ajjub kyā agar rasm-e-vafā yuuñ bhī hai aur yuuñ bhī

    ki husn o ishq har mas.ala yuuñ bhī hai aur yuuñ bhī

    kahīñ zarra kahīñ sahrā kahīñ qatra kahīñ dariyā

    mohabbat aur us silsila yuuñ bhī hai aur yuuñ bhī

    vo mujh se pūchhte haiñ ek maqsad merī hastī

    batā.ūñ kyā ki merā mudda.ā yuuñ bhī hai aur yuuñ bhī

    ham un se kyā kaheñ vo jāneñ un maslahat jaane

    hamārā hāl-e-dil to barmalā yuuñ bhī hai aur yuuñ bhī

    na lenā tirā āsāñ na kho denā tirā mumkin

    musībat meñ ye jān-e-mubtalā yuuñ bhī hai aur yuuñ bhī

    lagā de aag o barq-e-tajallī dekhtī kyā hai

    nigāh-e-shauq zālim nā-rasā yuuñ bhī hai aur yuuñ bhī

    ilāhī kis tarah aql o junūñ ko ek kar luuñ

    ki manshā-e-nigāh-e-ishva-zā yuuñ bhī hai aur yuuñ bhī

    'majāzī' se 'jigar' kah do are o aql ke dushman

    muqir ho koī munkir ḳhudā yuuñ bhī hai aur yuuñ bhī

    wo kafir aashna na-ashna yun bhi hai aur yun bhi

    hamari ibtida ta intiha yun bhi hai aur yun bhi

    ta'ajjub kya agar rasm-e-wafa yun bhi hai aur yun bhi

    ki husn o ishq ka har masala yun bhi hai aur yun bhi

    kahin zarra kahin sahra kahin qatra kahin dariya

    mohabbat aur us ka silsila yun bhi hai aur yun bhi

    wo mujh se puchhte hain ek maqsad meri hasti ka

    bataun kya ki mera muddaa yun bhi hai aur yun bhi

    hum un se kya kahen wo jaanen un ki maslahat jaane

    hamara haal-e-dil to barmala yun bhi hai aur yun bhi

    na pa lena tera aasan na kho dena tera mumkin

    musibat mein ye jaan-e-mubtala yun bhi hai aur yun bhi

    laga de aag o barq-e-tajalli dekhti kya hai

    nigah-e-shauq zalim na-rasa yun bhi hai aur yun bhi

    ilahi kis tarah aql o junun ko ek ja kar lun

    ki mansha-e-nigah-e-ishwa-za yun bhi hai aur yun bhi

    'majazi' se 'jigar' kah do are o aql ke dushman

    muqir ho ya koi munkir KHuda yun bhi hai aur yun bhi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now