wo KHud milne nahin aaya to uske ghar gaya main
vo ḳhud milne nahīñ aayā to us ke ghar gayā maiñ
hadeñ mā'lūm thiiñ lekin tajāvuz kar gayā maiñ
hisāb-e-roz-o-shab karnā nahīñ āsān pyāre
hisāb-e-roz-o-shab karte hue to mar gayā maiñ
mujhe har ek vīrānī sunātī hai kahānī
jahāñ koī nahīñ jaatā vahīñ aksar gayā maiñ
añdherā rāste meñ duur tak phailā huā thā
nahīñ mā'lūm kitnī duur be-manzar gayā maiñ
mohabbat se zarūrat kuchh ziyāda khīñchtī hai
use ghar par akelā chhoḌ kar daftar gayā maiñ
abhī tak to hadeñ shahr-e-junūñ kī tai nahīñ haiñ
kahīñ bāhar na rah jā.ūñ agar andar gayā maiñ
mire chāroñ taraf nafrat kā pahra lag chukā thā
magar phir bhī kisī sūrat mohabbat kar gayā maiñ
na kar tanqīd mere 'ishq ke tanhā safar par
tujhe mā'lūm hai kis ke ishāre par gayā maiñ
ḳhayāl aaya nahīñ kuchh bhī mire bas meñ nahīñ hai
du'ā māñgī to 'āsim' bebasī se Dar gayā maiñ
wo KHud milne nahin aaya to us ke ghar gaya main
haden ma'lum thin lekin tajawuz kar gaya main
hisab-e-roz-o-shab karna nahin aasan pyare
hisab-e-roz-o-shab karte hue to mar gaya main
mujhe har ek virani sunati hai kahani
jahan koi nahin jata wahin aksar gaya main
andhera raste mein dur tak phaila hua tha
nahin ma'lum kitni dur be-manzar gaya main
mohabbat se zarurat kuchh ziyaada khinchti hai
use ghar par akela chhoD kar daftar gaya main
abhi tak to haden shahr-e-junun ki tai nahin hain
kahin bahar na rah jaun agar andar gaya main
mere chaaron taraf nafrat ka pahra lag chuka tha
magar phir bhi kisi surat mohabbat kar gaya main
na kar tanqid mere 'ishq ke tanha safar par
tujhe ma'lum hai kis ke ishaare par gaya main
KHayal aaya nahin kuchh bhi mere bas mein nahin hai
du'a mangi to 'asim' bebasi se Dar gaya main
- Book : Lafz Mehfooz Kar Liye Jaayen (Pg. 74)
- Author : Asim Wasti
- Publication : Rekhta Publications (2020)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.