wo KHush-andaz-o-KHush-atwar kahin milte hain
vo ḳhush-andāz-o-ḳhush-atvār kahīñ milte haiñ
zindagī tere parastār kahīñ milte haiñ
jaise ik moḌ pe milte haiñ kahīñ shām-o-sahar
us tarah bhī dil-o-dildār kahīñ milte haiñ
jaisī āñkheñ haiñ tirī aur ye dil hai jaisā
aise sharminda-e-iz.hār kahīñ milte haiñ
ek dīvāna-e-duniyā kā thā jannat se savāl
kyā yahāñ dirham-o-dīnār kahīñ milte haiñ
kisī bāzār meñ miltī hai junūñ naam kī shai
hausle 'ishq ke tayyār kahīñ milte haiñ
DhūñD le DhūñD sake koī agar rāh-e-farār
ek jānib dar-o-dīvār kahīñ milte haiñ
tum se milnā bhī hai milnā bhī nahīñ hai tum se
aao tum se sar-e-bāzār kahīñ milte haiñ
yā tirī bazm meñ haiñ yā mire dil meñ 'ajmal'
zindagī ke agar āsār kahīñ milte haiñ
wo KHush-andaz-o-KHush-atwar kahin milte hain
zindagi tere parastar kahin milte hain
jaise ek moD pe milte hain kahin sham-o-sahar
us tarah bhi dil-o-dildar kahin milte hain
jaisi aankhen hain teri aur ye dil hai jaisa
aise sharminda-e-izhaar kahin milte hain
ek diwana-e-duniya ka tha jannat se sawal
kya yahan dirham-o-dinar kahin milte hain
kisi bazar mein milti hai junun nam ki shai
hausle 'ishq ke tayyar kahin milte hain
DhunD le DhunD sake koi agar rah-e-farar
ek jaanib dar-o-diwar kahin milte hain
tum se milna bhi hai milna bhi nahin hai tum se
aao tum se sar-e-bazar kahin milte hain
ya teri bazm mein hain ya mere dil mein 'ajmal'
zindagi ke agar aasar kahin milte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.