wo kimiya se dagh mere pairahan ke the
vo kīmiyā se daaġh mire pairahan ke the
taare hasīn jaise kisī anjuman ke the
laTke rahe salīb pe apne ġhamoñ kī ham
do gaz zamīn ke the na apne kafan ke the
ro kar lahū hamīñ ne khilā.e tamām gul
ham aise bāġhbān ke ujḌe chaman ke the
hogā na e'tibār kisī taur phir hameñ
vo 'ishq ke fareb sabhī bāñkpan ke the
wo kimiya se dagh mere pairahan ke the
tare hasin jaise kisi anjuman ke the
laTke rahe salib pe apne ghamon ki hum
do gaz zamin ke the na apne kafan ke the
ro kar lahu hamin ne khilae tamam gul
hum aise baghban ke ujDe chaman ke the
hoga na e'tibar kisi taur phir hamein
wo 'ishq ke fareb sabhi bankpan ke the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.