wo kya zindagi jis mein joshish nahin

Krishna Mohan

wo kya zindagi jis mein joshish nahin

Krishna Mohan

MORE BYKrishna Mohan

  vo kyā zindagī jis meñ joshish nahīñ

  vo kyā aarzū jis meñ kāvish nahīñ

  junūñ ā.ina-dār-e-soz-e-darūñ

  junūñ par ḳhushī navāzish nahīñ

  muqaddar marhūn-e-minnat hai ye

  tirā martaba vaj.h-e-nāzish nahīñ

  haqīqat akkās merā kalām

  tasanño nahīñ is meñ koshish nahīñ

  ye iz.hār-e-sāda hai jazbāt

  kamāl-e-hunar numā.ish nahīñ

  zamāne se huuñ be-niyāz is qadar

  satā.ish bhī dil meñ ḳhvāhish nahīñ

  ye kyā ho gayā tere maktūb meñ

  ta.alluq rañg-e-nigārish nahīñ

  use mil sake kāmyābī kahāñ

  madad-gār jis sifārish nahīñ

  vo be-bāk āzād-guftār hai

  kabhī 'krishn' mohan ko bandish nahīñ

  wo kya zindagi jis mein joshish nahin

  wo kya aarzu jis mein kawish nahin

  junun aaina-dar-e-soz-e-darun

  junun par KHushi ki nawazish nahin

  muqaddar ka marhun-e-minnat hai ye

  tera martaba wajh-e-nazish nahin

  haqiqat ka akkas mera kalam

  tasanno nahin is mein koshish nahin

  ye izhaar-e-sada hai jazbaat ka

  kamal-e-hunar ki numaish nahin

  zamane se hun be-niyaz is qadar

  sataish ki bhi dil mein KHwahish nahin

  ye kya ho gaya tere maktub mein

  talluq ka rang-e-nigarish nahin

  use mil sake kaamyabi kahan

  madad-gar jis ki sifarish nahin

  wo be-bak aazad-guftar hai

  kabhi 'krishn' mohan ko bandish nahin

  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY