wo mahakti palkon ki oT se koi tara chamka tha raat mein
vo mahaktī palkoñ kī oT se koī taarā chamkā thā raat meñ
mirī band muTThī na kholiye vahī koh-e-nūr hai haat meñ
maiñ tamām taare uThā uThā ke ġharīb logoñ meñ baañT duuñ
kabhī ek raat vo āsmān kā nizām deñ mire haat meñ
abhī shaam tak mire baaġh meñ kahīñ koī phuul khilā na thā
mujhe ḳhushbuoñ meñ basā gayā tirā pyaar ek hī raat meñ
tire saath itne bahut se din to palak jhapakte guzar ga.e
huī shaam khel hī khel meñ ga.ī raat baat hī baat meñ
koī ishq hai ki akelā ret kī shawl oḌh ke chal diyā
kabhī bāl-bachchoñ ke saath aa ye paḌāv lagtā hai raat meñ
kabhī saat rangoñ kā phuul huuñ kabhī dhuup huuñ kabhī dhuul huuñ
maiñ tamām kapḌe badal chukā tire mausamoñ kī barāt meñ
wo mahakti palkon ki oT se koi tara chamka tha raat mein
meri band muTThi na kholiye wahi koh-e-nur hai hat mein
main tamam tare uTha uTha ke gharib logon mein banT dun
kabhi ek raat wo aasman ka nizam den mere hat mein
abhi sham tak mere bagh mein kahin koi phul khila na tha
mujhe KHushbuon mein basa gaya tera pyar ek hi raat mein
tere sath itne bahut se din to palak jhapakte guzar gae
hui sham khel hi khel mein gai raat baat hi baat mein
koi ishq hai ki akela ret ki shawl oDh ke chal diya
kabhi baal-bachchon ke sath aa ye paDaw lagta hai raat mein
kabhi sat rangon ka phul hun kabhi dhup hun kabhi dhul hun
main tamam kapDe badal chuka tere mausamon ki baraat mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.