wo mera ho ke bhi mera nahin hai
vo merā ho ke bhī merā nahīñ hai
kabhī jis ke sivā sochā nahīñ hai
khilaunoñ se bahal jaa.e ye kaise
mirā dil hai koī bachcha nahīñ hai
hai kaasa diid kā muddat se ḳhālī
saḳhī koī yahāñ aayā nahīñ hai
udāsī kā har ik lab par hai pahra
yahāñ par kyā koī hañstā nahīñ hai
sunā hai car bhī uḌne lagī hai
parinda man kā kyoñ uḌtā nahīñ hai
hamāre zabt kī had ho ga.ī kyā
ab aañsū aañkh meñ ruktā nahīñ hai
badal jaatī hai fitrat bhī yahāñ par
jale jab dil dhuāñ uThtā nahīñ hai
vahāñ par kyā 'ḳhizar' dil kā lagānā
jahāñ koī sadā Thahrā nahīñ hai
wo mera ho ke bhi mera nahin hai
kabhi jis ke siwa socha nahin hai
khilaunon se bahal jae ye kaise
mera dil hai koi bachcha nahin hai
hai kasa did ka muddat se KHali
saKHi koi yahan aaya nahin hai
udasi ka har ek lab par hai pahra
yahan par kya koi hansta nahin hai
suna hai car bhi uDne lagi hai
parinda man ka kyon uDta nahin hai
hamare zabt ki had ho gai kya
ab aansu aankh mein rukta nahin hai
badal jati hai fitrat bhi yahan par
jale jab dil dhuan uThta nahin hai
wahan par kya 'KHizar' dil ka lagana
jahan koi sada Thahra nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.