wo mere samne ho ke bhi mujhko yaksar dikhai nahin de raha

wo mere samne ho ke bhi mujhko yaksar dikhai nahin de raha
Mahender Kumar Sani
MORE BYMahender Kumar Sani
vo mire sāmne ho ke bhī mujh ko yaksar dikhā.ī nahīñ de rahā
is kā matlab yahī hai ki maiñ us ko apnī rasā.ī nahīñ de rahā
ik ġhubār-e-sadā uḌ rahā hai fazā meñ samā'at kī hairān huuñ
sab samajhtā hai dil aur kahtā hai kuchh bhī sunā.ī nahīñ de rahā
maiñ to uktā gayā vasl kī lazzatoñ se ki yak-kaifiyat zahr hai
kab se huuñ multajī hijr kā vo hī mujh ko judā.ī nahīñ de rahā
āsmāñ jo tumhāre paroñ meñ hai simTā huā kab use khologe
yuuñ hī bekār meñ shor karnā hameñ vo rihā.ī nahīñ de rahā
‘āshiqāñ 'āshiqī kī rivāyat ko tum is qadar to na rusvā karo
kāmgāroñ ke jaise ye kyā rote ho vo kamā.ī nahīñ de rahā
wo mere samne ho ke bhi mujh ko yaksar dikhai nahin de raha
is ka matlab yahi hai ki main us ko apni rasai nahin de raha
ek ghubar-e-sada uD raha hai faza mein sama'at ki hairan hun
sab samajhta hai dil aur kahta hai kuchh bhi sunai nahin de raha
main to ukta gaya wasl ki lazzaton se ki yak-kaifiyat zahr hai
kab se hun multaji hijr ka wo hi mujh ko judai nahin de raha
aasman jo tumhaare paron mein hai simTa hua kab use khologe
yun hi bekar mein shor karna hamein wo rihai nahin de raha
‘ashiqan 'ashiqi ki riwayat ko tum is qadar to na ruswa karo
kaamgaron ke jaise ye kya rote ho wo kamai nahin de raha
- Book : Maujood Ki Nisbat Se (Pg. 97)
- Author : Mahendra Kumar Sani
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.