wo nahin hai mera pata hai mujhe
vo nahīñ hai mirā pata hai mujhe
sirf ye ḳhvāb dekhnā hai mujhe
tum mile ho to lag rahā hai mujhe
koī to hai jo jāntā hai mujhe
aisā is martaba huā hai yā
aisā is martaba lagā hai mujhe
āj-kal kis ke ās-pās huuñ maiñ
āj-kal kaun sochtā hai mujhe
dekhiye mat ki kaisā dikhtā huuñ
dekhiye kaun dekhtā hai mujhe
baat karnī hai der tak us se
shaam tak ghar bhī lauTnā hai mujhe
wo nahin hai mera pata hai mujhe
sirf ye KHwab dekhna hai mujhe
tum mile ho to lag raha hai mujhe
koi to hai jo jaanta hai mujhe
aisa is martaba hua hai ya
aisa is martaba laga hai mujhe
aaj-kal kis ke aas-pas hun main
aaj-kal kaun sochta hai mujhe
dekhiye mat ki kaisa dikhta hun
dekhiye kaun dekhta hai mujhe
baat karni hai der tak us se
sham tak ghar bhi lauTna hai mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.