Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo pari hi nahin kuchh ho ke kaDi mujhse laDi

Insha Allah Khan Insha

wo pari hi nahin kuchh ho ke kaDi mujhse laDi

Insha Allah Khan Insha

MORE BYInsha Allah Khan Insha

    vo parī nahīñ kuchh ho ke kaḌī mujh se laḌī

    aañkh nargis se bhī do-chār ghaḌī mujh se laḌī

    vāste tere mirā rañg-mahal hai dushman

    terī ḳhātir to har ik chhoTī baḌī mujh se laḌī

    jhaḌ lagā mirī āñkhoñ ne to lo aur suno

    TukTukī bāñdh ke kyuuñ muñh jhaḌī mujh se laḌī

    raat laḌ-bhiḌ vo jo chup ho rahī to un ke 'evaz

    bolte the vo jo sone ghaḌī mujh se laḌī

    baiThe baiThe kahīñ bulbul ko jo chheḌā maiñ ne

    to nasīm us badal ho ke khaḌī mujh se laḌī

    kaun huur yahāñ khelne chauthī aa.ī

    bū-e-gul le ke jo phūloñ chhaḌī mujh se laḌī

    ruuTh kar un galī meñ jo lagā 'inshā'

    har ik us do laḌī motī laḌī mujh se laḌī

    wo pari hi nahin kuchh ho ke kaDi mujh se laDi

    aankh nargis se bhi do-chaar ghaDi mujh se laDi

    waste tere mera rang-mahal hai dushman

    teri KHatir to har ek chhoTi baDi mujh se laDi

    jhaD laga di meri aankhon ne to lo aur suno

    TukTuki bandh ke kyun munh ki jhaDi mujh se laDi

    raat laD-bhiD wo jo chup ho rahi to un ke 'ewaz

    bolte the wo jo sone ki ghaDi mujh se laDi

    baiThe baiThe kahin bulbul ko jo chheDa main ne

    to nasim us ki badal ho ke khaDi mujh se laDi

    kaun si hur yahan khelne chauthi aai

    bu-e-gul le ke jo phulon ki chhaDi mujh se laDi

    ruTh kar un ki gali mein jo laga tu 'insha'

    har ek us do laDi moti ki laDi mujh se laDi

    Source :
    • Kulliyat-e-inshaallah khan insha
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now