wo rang-o-bu wo Khaal-o-KHad nahin raha
vo rang-o-bū vo ḳhāl-o-ḳhad nahīñ rahā
ki ab vo phuul mustanad nahīñ rahā
suḳhanvarī kā zo'm khā gayā hameñ
kisī kā she'r bhī sanad nahīñ rahā
hameshgī na tum meñ thī na ham meñ thī
hamārā pyaar tā-abad nahīñ rahā
yahāñ haiñ ham nigāh to jhukā.iye
jo thā hamārā ab vo qad nahīñ rahā
havas ke pankh lag ga.e junūn ko
tirā ḳhayāl tā-ba-had nahīñ rahā
ye dil bhī ab dimāġh ho gayā 'asar'
kamāl hai ye be-ḳhirad nahīñ rahā
wo rang-o-bu wo KHal-o-KHad nahin raha
ki ab wo phul mustanad nahin raha
suKHanwari ka zo'm kha gaya hamein
kisi ka she'r bhi sanad nahin raha
hameshgi na tum mein thi na hum mein thi
hamara pyar ta-abad nahin raha
yahan hain hum nigah to jhukaiye
jo tha hamara ab wo qad nahin raha
hawas ke pankh lag gae junun ko
tera KHayal ta-ba-had nahin raha
ye dil bhi ab dimagh ho gaya 'asar'
kamal hai ye be-KHirad nahin raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.