Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo ru-e-kitabi to hai quran hamara

Imam Bakhsh Nasikh

wo ru-e-kitabi to hai quran hamara

Imam Bakhsh Nasikh

MORE BYImam Bakhsh Nasikh

    vo rū-e-kitābī to hai qur.ān hamārā

    kahte haiñ jise ishq hai īmān hamārā

    hāthoñ shikāyat hai hameñ dasht-e-junūñ meñ

    paañv meñ ulajhtā hai garebān hamārā

    har sub.h dikhātā hai hameñ jalva parī

    bālā-e-havā-dār sulaimān hamārā

    haiñ mardum-e-ġham-dīda ke dāñtoñ tarah band

    misl-e-dahan-e-nañg hai zindān hamārā

    ham ḳhāna-ḳharāboñ se mile kyā koī aa kar

    darvāza-e-uftāda hai darbān hamārā

    rahtā hai hameñ dhyān tumhārā hamesha

    tum ko nahīñ aatā hai kabhī dhyān hamārā

    aa jaa.e abhī jaan meñ jaan aao agar tum

    tan hijr meñ be-jān hai ai jaan hamārā

    be-khaTke tavahhush meñ na kyuuñ dauḌte phiriye

    pahlū meñ hai be-ḳhār bayābān hamārā

    jaan ḳhudā ne kisī but ne na kiyā qatl

    niklā na dam-e-marg bhī armān hamārā

    ham ne balā apne sar sab ko bachāyā

    ai jaan hai aġhyār pe ehsān hamārā

    har bait meñ ik shāhid-e-ma.anī hai tasvīr

    'nāsiḳh' hai muraqqa.a nahīñ dīvān hamārā

    wo ru-e-kitabi to hai quran hamara

    kahte hain jise ishq hai iman hamara

    hathon ki shikayat hai hamein dasht-e-junun mein

    panw mein ulajhta hai gareban hamara

    har subh dikhata hai hamein jalwa pari ka

    baala-e-hawa-dar sulaiman hamara

    hain mardum-e-gham-dida ke danton ki tarah band

    misl-e-dahan-e-nang hai zindan hamara

    hum KHana-KHarabon se mile kya koi aa kar

    darwaza-e-uftada hai darban hamara

    rahta hai hamein dhyan tumhaara hi hamesha

    tum ko nahin aata hai kabhi dhyan hamara

    aa jae abhi jaan mein jaan aao agar tum

    tan hijr mein be-jaan hai ai jaan hamara

    be-khaTke tawahhush mein na kyun dauDte phiriye

    pahlu mein hai be-KHar bayaban hamara

    li jaan KHuda ne kisi but ne na kiya qatl

    nikla na dam-e-marg bhi arman hamara

    li hum ne bala apne hi sar sab ko bachaya

    ai jaan hai aghyar pe ehsan hamara

    har bait mein ek shahid-e-mani ki hai taswir

    'nasiKH' hai muraqqa nahin diwan hamara

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now