wo tanha tha to phir tanhai ka dam-saz hona tha

Ashfaq Husain

wo tanha tha to phir tanhai ka dam-saz hona tha

Ashfaq Husain

MORE BYAshfaq Husain

  vo tanhā thā to phir tanhā.ī dam-sāz honā thā

  un āñkhoñ ke liye mujh ko sitāra-sāz honā thā

  sabhī ḳhāmosh the āvāz par us so aise meñ

  mujhe chup to nahīñ rahnā thā ham-āvāz honā thā

  jo dil meñ thā vo ik vīrān gumbad meñ kah detā

  ye merā ahd thā mujh ko asar-andāz honā thā

  mire lab par zamāne shikāyat kis liye aa.ī

  agar ye shor thā to us ko be-āvāz honā thā

  na jaane mujh se kitne log the jo sochte ye the

  ki in se ik na.ī tārīḳh āġhāz honā thā

  jahāñ zaḳhmī tamannāoñ sarhad ḳhatm hotī thī

  vahāñ se ik na.ī ummīd āġhāz honā thā

  ye kār-e-ishq thā 'ashfāq' mujh se ho nahīñ paayā

  mujhe bhī shā.irī meñ sāhib-e-ejāz honā thā

  wo tanha tha to phir tanhai ka dam-saz hona tha

  un aankhon ke liye mujh ko sitara-saz hona tha

  sabhi KHamosh the aawaz par us ki so aise mein

  mujhe chup to nahin rahna tha ham-awaz hona tha

  jo dil mein tha wo ek viran gumbad hi mein kah deta

  ye mera ahd tha mujh ko asar-andaz hona tha

  mere lab par zamane ki shikayat kis liye aai

  agar ye shor tha to us ko be-awaz hona tha

  na jaane mujh se kitne log the jo sochte ye the

  ki in se ek nai tariKH ka aaghaz hona tha

  jahan zaKHmi tamannaon ki sarhad KHatm hoti thi

  wahan se ek nai ummid ka aaghaz hona tha

  ye kar-e-ishq tha 'ashfaq' mujh se ho nahin paya

  mujhe bhi shairi mein sahib-e-ejaz hona tha

  Source :
  • Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 505)
  • Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY