Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo to nahin mila hai sanson jiye to kya hai

Rauf Raza

wo to nahin mila hai sanson jiye to kya hai

Rauf Raza

MORE BYRauf Raza

    vo to nahīñ milā hai sāñsoñ jiye to kyā hai

    dil ab bhī pyaas par hai ġham liye to kyā hai

    saarī ḳhushī hamārī āñkhoñ se chhan rahī hai

    kuchh der tum ne gesū lahrā diye to kyā hai

    be-tābiyāñ bhī kitnī muñh-zor ho ga.iiñ haiñ

    tūfān jaate jaate kuchh mar liye to kyā hai

    maiñ bhī vahāñ purāne zaḳhmoñ ko dho rahā thā

    ne bhī aaj din bhar dukhḌe siye to kyā hai

    hañs hañs ke kah rahā hai ye raat darīcha

    ab guuñj ubhar rahī hai lab liye to kyā hai

    us mai-kade meñ ab bhī taqsīm hai purānī

    chhalkā diye to kyā hai ulTā diye to kyā hai

    wo to nahin mila hai sanson jiye to kya hai

    dil ab bhi pyas par hai gham pi liye to kya hai

    sari KHushi hamari aankhon se chhan rahi hai

    kuchh der tum ne gesu lahra diye to kya hai

    be-tabiyan bhi kitni munh-zor ho gain hain

    tufan jate jate kuchh mar liye to kya hai

    main bhi wahan purane zaKHmon ko dho raha tha

    tu ne bhi aaj din bhar dukhDe siye to kya hai

    hans hans ke kah raha hai ye raat ka daricha

    ab gunj ubhar rahi hai lab si liye to kya hai

    us mai-kade mein ab bhi taqsim hai purani

    chhalka diye to kya hai ulTa diye to kya hai

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Rauf Raza

    Rauf Raza

    RECITATIONS

    Rauf Raza

    Rauf Raza,

    Rauf Raza

    wo to nahin mila hai sanson jiye to kya hai Rauf Raza

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now