Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo wafa ko jafa samajhte hain

Shaghil Usmani

wo wafa ko jafa samajhte hain

Shaghil Usmani

MORE BYShaghil Usmani

    vo vafā ko jafā samajhte haiñ

    ham jafā ko vafā samajhte haiñ

    kyā batā.eñ vo kyā samajhte haiñ

    ḳhud ko shāyad ḳhudā samajhte haiñ

    ai buto tum ko kyā samajhte haiñ

    jo ḳhudā ko ḳhudā samajhte haiñ

    kyā kaheñ tum ko kyā samajhte haiñ

    banda-parvar ḳhudā samajhte haiñ

    apnī ḳhalvat meñ daḳhl deñ kyūñkar

    vo mirā mudda.ā samajhte haiñ

    kyoñ hoñ mamnūn hazrat-e-īsā

    dard ko jo davā samajhte haiñ

    jin ko duniyā meñ kuchh nahiñ aatā

    ab unheñ peshvā samajhte haiñ

    āh-o-fariyād-o-nāla-o-shevan

    āshiqī sazā samajhte haiñ

    jaur-e-gardūñ ko sach agar pūchho

    aap ik adā samajhte haiñ

    mai-kade meñ ilaaj hai us

    sab jise lā-davā samajhte haiñ

    badtarīn-e-gunāh duniyā meñ

    ham to kibr-o-riyā samajhte haiñ

    aise ḳhush-fahm bhī haiñ duniyā meñ

    shaiḳh ko pārsā samajhte haiñ

    rind pīr-e-muġhāñ ko ai 'shāġhil'

    mai-kade ḳhudā samajhte haiñ

    wo wafa ko jafa samajhte hain

    hum jafa ko wafa samajhte hain

    kya bataen wo kya samajhte hain

    KHud ko shayad KHuda samajhte hain

    ai buto tum ko kya samajhte hain

    jo KHuda ko KHuda samajhte hain

    kya kahen tum ko kya samajhte hain

    banda-parwar KHuda samajhte hain

    apni KHalwat mein daKHl den kyunkar

    wo mera muddaa samajhte hain

    kyon hon mamnun hazrat-e-isa

    dard ko jo dawa samajhte hain

    jin ko duniya mein kuchh nahin aata

    ab unhen peshwa samajhte hain

    aah-o-fariyaad-o-nala-o-shewan

    aashiqi ki saza samajhte hain

    jaur-e-gardun ko sach agar puchho

    aap ki ek ada samajhte hain

    mai-kade mein ilaj hai us ka

    sab jise la-dawa samajhte hain

    badtarin-e-gunah duniya mein

    hum to kibr-o-riya samajhte hain

    aise KHush-fahm bhi hain duniya mein

    shaiKH ko parsa samajhte hain

    rind pir-e-mughan ko ai 'shaghil'

    mai-kade ka KHuda samajhte hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now