Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo yun mila ki ba-zahir KHafa KHafa sa laga

Iqbal Azeem

wo yun mila ki ba-zahir KHafa KHafa sa laga

Iqbal Azeem

MORE BYIqbal Azeem

    vo yuuñ milā ki ba-zāhir ḳhafā ḳhafā lagā

    na jaane kyuuñ vo mujhe phir bhī bā-vafā lagā

    mizāj us ne na pūchhā magar salām liyā

    ye be-ruḳhī salīqa bhī kuchh bhalā lagā

    ġhubār-e-vaqt ne kuchh yuuñ badal diye chehre

    ḳhud apnā shahr bhī mujh ko nayā nayā lagā

    ghuTī ghuTī lagī raat anjuman fazā

    charāġh jo bhī jalā kuchh bujhā bujhā lagā

    jo ham pe guzrī hai shāyad sabhī pe guzrī ho

    fasāna jo bhī sunā kuchh sunā sunā lagā

    majāl-e-arz-e-tamannā kare koī kaise

    jo lafz hoñToñ pe aayā Darā Darā lagā

    maiñ ghar se chal ke akelā yahāñ tak aayā huuñ

    jo ham-safar bhī milā kuchh thakā thakā lagā

    isī naam hai shā.istagī o pās-e-vafā

    palak tak aa ke jo aañsū thamā thamā lagā

    kuchh is ḳhulūs se us ne kahā mujhe 'iqbāl'

    ḳhud apnā naam bhī mujh ko baḌā baḌā lagā

    wo yun mila ki ba-zahir KHafa KHafa sa laga

    na jaane kyun wo mujhe phir bhi ba-wafa sa laga

    mizaj us ne na puchha magar salam liya

    ye be-ruKHi ka saliqa bhi kuchh bhala sa laga

    ghubar-e-waqt ne kuchh yun badal diye chehre

    KHud apna shahr bhi mujh ko naya naya sa laga

    ghuTi ghuTi si lagi raat anjuman ki faza

    charagh jo bhi jala kuchh bujha bujha sa laga

    jo hum pe guzri hai shayad sabhi pe guzri ho

    fasana jo bhi suna kuchh suna suna sa laga

    majal-e-arz-e-tamanna kare koi kaise

    jo lafz honTon pe aaya Dara Dara sa laga

    main ghar se chal ke akela yahan tak aaya hun

    jo ham-safar bhi mila kuchh thaka thaka sa laga

    isi ka nam hai shaistagi o pas-e-wafa

    palak tak aa ke jo aansu thama thama sa laga

    kuchh is KHulus se us ne kaha mujhe 'iqbaal'

    KHud apna nam bhi mujh ko baDa baDa sa laga

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Iqbal Azeem

    Iqbal Azeem

    RECITATIONS

    Iqbal Azeem

    Iqbal Azeem,

    Iqbal Azeem

    wo yun mila ki ba-zahir KHafa KHafa sa laga Iqbal Azeem

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now