wo zara etibar kar na sake
vo zarā e'tibār kar na sake
aur ham intizār kar na sake
ḳhud ko bhī kar sake na ḳhud apnā
ek dariyā bhī paar kar na sake
kitnī rāteñ thiiñ kitne taare the
kyā kaheñ jab shumār kar na sake
aarzū baar baar milne kī
guftugū ek baar kar na sake
ab 'sabā' kyā shumār nekī kā
vo jo tum be-shumār kar na sake
wo zara e'tibar kar na sake
aur hum intizar kar na sake
KHud ko bhi kar sake na KHud apna
ek dariya bhi par kar na sake
kitni raaten thin kitne tare the
kya kahen jab shumar kar na sake
aarzu bar bar milne ki
guftugu ek bar kar na sake
ab 'saba' kya shumar neki ka
wo jo tum be-shumar kar na sake
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.