Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo zulm-o-sitam Dhae aur mujhse wafa mange

Firdaus Gayavi

wo zulm-o-sitam Dhae aur mujhse wafa mange

Firdaus Gayavi

MORE BYFirdaus Gayavi

    vo zulm-o-sitam Dhaa.e aur mujh se vafā māñge

    jaise koī gul kar ke dīpak se ziyā māñge

    jiinā baḌī ne.amat hai jiine chalan sīkheñ

    achchhā to nahīñ koī marne duā māñge

    ġham bhī hai udāsī bhī tanhā.ī bhī aañsū bhī

    sab kuchh to mayassar hai dil māñge to kyā māñge

    ā.īn-e-vatan par to dil vaar chuke apnā

    nāmūs-e-vatan ham se ab rañg-e-hinā māñge

    auqāt hai kyā us vo pesh-e-nazar rakkhe

    insāñ na koī apne dāman se sivā māñge

    ramtā huā jogī huuñ bahtā huā paanī huuñ

    hargiz na koī mujh se ab merā patā māñge

    phir chehra-e-qātil nazroñ ko zarūrat hai

    phir kūcha-e-qātil dil āb-o-havā māñge

    vo sair-e-gulistāñ ko 'firdaus' jo aa jaa.e

    muskān kalī chāhe raftār-e-sabā māñge

    wo zulm-o-sitam Dhae aur mujh se wafa mange

    jaise koi gul kar ke dipak se ziya mange

    jina baDi neamat hai jine ka chalan sikhen

    achchha to nahin koi marne ki dua mange

    gham bhi hai udasi bhi tanhai bhi aansu bhi

    sab kuchh to mayassar hai dil mange to kya mange

    aain-e-watan par to dil war chuke apna

    namus-e-watan hum se ab rang-e-hina mange

    auqat hai kya us ki wo pesh-e-nazar rakkhe

    insan na koi apne daman se siwa mange

    ramta hua jogi hun bahta hua pani hun

    hargiz na koi mujh se ab mera pata mange

    phir chehra-e-qatil ki nazron ko zarurat hai

    phir kucha-e-qatil ki dil aab-o-hawa mange

    wo sair-e-gulistan ko 'firdaus' jo aa jae

    muskan kali chahe raftar-e-saba mange

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now