wujud apna bara-e-adam banata hun
vujūd apnā barā-e-'adam banātā huuñ
purāne ġham se nayā ek ġham banātā huuñ
ye dekhtī hī nahīñ bolne bhī lagtī hai
isī liye to maiñ tasvīr kam banātā huuñ
mire hunar se bahut canvas pareshāñ hai
maiñ jo bhī aañkh banātā huuñ nam banātā huuñ
banāne vaalā 'ajab huuñ ki ab zamīñ hī nahīñ
maiñ āsmān bhī zer-e-qadam banātā huuñ
mire 'alāva nahīñ hai koī harīf mirā
maiñ ḳhud ko taḳhta-e-mashq-e-sitam banātā huuñ
kisī kisī pe hī hotā huuñ munkashif 'ġhā.er'
mirā mizāj hai maiñ dost kam banātā huuñ
wujud apna bara-e-'adam banata hun
purane gham se naya ek gham banata hun
ye dekhti hi nahin bolne bhi lagti hai
isi liye to main taswir kam banata hun
mere hunar se bahut canwas pareshan hai
main jo bhi aankh banata hun nam banata hun
banane wala 'ajab hun ki ab zamin hi nahin
main aasman bhi zer-e-qadam banata hun
mere 'alawa nahin hai koi harif mera
main KHud ko taKHta-e-mashq-e-sitam banata hun
kisi kisi pe hi hota hun munkashif 'ghaer'
mera mizaj hai main dost kam banata hun
- Book : Ek Shaam Tumhare Hisse Ki (Pg. 65)
- Author : Kashif Husain Ghair
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.