wujud naghma-sara hai hayat raqs mein hai
vujūd naġhma-sarā hai hayāt raqs meñ hai
vo sarḳhushī hai ki sab kā.enāt raqs meñ hai
churā ke laayā huuñ charḳh-e-kuhan se tābānī
huzūr-e-'adl mirī vārdāt raqs meñ hai
vo chal paḌā hai sū-e-hashr koī āvāra
tarāzū vajd meñ hai pul-sirāt raqs meñ hai
gunāh-e-rasm-kushī ham pe kyoñ na ho sābit
subūt naach rahe haiñ sabāt raqs meñ hai
jhaTak diyā hai ye kis mah-jabīñ ne zulfoñ ko
ki tābishoñ se bayābāñ kī raat raqs meñ hai
tabīb nusḳhe meñ 'āzād' likh rahā hai junūñ
ḳhushā vo dard ki jis se najāt raqs meñ hai
wujud naghma-sara hai hayat raqs mein hai
wo sarKHushi hai ki sab kaenat raqs mein hai
chura ke laya hun charKH-e-kuhan se tabani
huzur-e-'adl meri wardat raqs mein hai
wo chal paDa hai su-e-hashr koi aawara
taraazu wajd mein hai pul-siraat raqs mein hai
gunah-e-rasm-kushi hum pe kyon na ho sabit
subut nach rahe hain sabaat raqs mein hai
jhaTak diya hai ye kis mah-jabin ne zulfon ko
ki tabishon se bayaban ki raat raqs mein hai
tabib nusKHe mein 'azad' likh raha hai junun
KHusha wo dard ki jis se najat raqs mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.