vus.at-e-dāmān-e-dil ko ġham tumhārā mil gayā
zindagī ko zindagī bhar kā sahārā mil gayā
har dil-e-dard-āshnā meñ dil hamārā mil gayā
paara paara ho chukā thā paarā paarā mil gayā
ham ki maiḳhāne ke vāris the haiñ ab tak tishna-lab
chand kam-zarfoñ ko sahbā kā ijārā mil gayā
jis ne ḳhālī jaam paTkā us mujāhid ko salām
mai-kade meñ aaj pyāsoñ ko ishārā mil gayā
nā-ḳhudā ye donoñ sāhil ek hī dariyā ke haiñ
ye kināra mil gayā yā vo kinārā mil gayā
ham ne apne qāfile meñ us ko shāmil kar liyā
jo thakā-hārā milā jo ġham kā maarā mil gayā
phir koī iisā farāz-e-dār kī zīnat banā
phir kisī tārīk shab ko ik sitārā mil gayā
wusat-e-daman-e-dil ko gham tumhaara mil gaya
zindagi ko zindagi bhar ka sahaara mil gaya
har dil-e-dard-ashna mein dil hamara mil gaya
para para ho chuka tha para para mil gaya
hum ki maiKHane ke waris the hain ab tak tishna-lab
chand kam-zarfon ko sahba ka ijara mil gaya
jis ne KHali jam paTka us mujahid ko salam
mai-kade mein aaj pyason ko ishaara mil gaya
na-KHuda ye donon sahil ek hi dariya ke hain
ye kinara mil gaya ya wo kinara mil gaya
hum ne apne qafile mein us ko shamil kar liya
jo thaka-haara mila jo gham ka mara mil gaya
phir koi isa faraaz-e-dar ki zinat bana
phir kisi tarik shab ko ek sitara mil gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.