ya to falak se chand utar kar tair raha hai pani mein
yā to falak se chāñd utar kar tair rahā hai paanī meñ
yā phir us kā dilkash chehra 'aks huā hai paanī meñ
'ishq to kab kā motī ban kar tāj-e-vafā meñ saj bhī chukā
DhūñDne vāloñ ko samjhāo sirf ghaḌā hai paanī meñ
jābir machhlī tund bhañvar saffāk magarmachh gahrā.ī
sab mā'lūm thā phir bhī ham ne paañv rakhā hai paanī meñ
saañs kā lenā kyā mushkil hai jism hunar rakhtā ho agar
ḳhilqat-e-shahr-e-āb se pūchho kitnī havā hai paanī meñ
kyā maiñ koī jazīra huuñ yā āñkheñ haiñ sailāb-zada
mere gird kā har manzar kyoñ Duub gayā hai paanī meñ
jab dil ke tālāb meñ 'āsim' yaad ne kankar pheñkā hai
ik chehra tasvīr banā ik phuul khilā hai paanī meñ
ya to falak se chand utar kar tair raha hai pani mein
ya phir us ka dilkash chehra 'aks hua hai pani mein
'ishq to kab ka moti ban kar taj-e-wafa mein saj bhi chuka
DhunDne walon ko samjhao sirf ghaDa hai pani mein
jabir machhli tund bhanwar saffak magarmachh gahrai
sab ma'lum tha phir bhi hum ne panw rakha hai pani mein
sans ka lena kya mushkil hai jism hunar rakhta ho agar
KHilqat-e-shahr-e-ab se puchho kitni hawa hai pani mein
kya main koi jazira hun ya aankhen hain sailab-zada
mere gird ka har manzar kyon Dub gaya hai pani mein
jab dil ke talab mein 'asim' yaad ne kankar phenka hai
ek chehra taswir bana ek phul khila hai pani mein
- Book : Lafz Mehfooz Kar Liye Jaayen (Pg. 30)
- Author : Asim Wasti
- Publication : Rekhta Publications (2020)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.