yaad aa gaya wo shaKHs to yaad aae jaega
yaad aa gayā vo shaḳhs to yaad aa.e jā.egā
rulvā.e jā.egā hameñ taḌpā.e jā.egā
tā'bīr se kabhī to navāzegā āsmān
kab tak hamāre ḳhvāb-mahal Dhaa.e jā.egā
sar 'ishq kī muhim nahīñ hotī dimāġh se
jo sochtā rahegā vo ghabrā.e jā.egā
itnā bhī sabr-o-shukr kā qaa.il nahīñ ki dil
har kaifiyat meñ aap ke gun gaa.e jā.egā
aatā hai rahm nāseh-e-mushfiq ke haal par
be-chāra 'umr-bhar hameñ samjhā.e jā.egā
nazreñ haTā haTā ke na kyoñ guftugū kareñ
ham dekhe jā.eñge to vo sharmā.e jā.egā
thoḌī 'sha'ūr' aur chaḌhā le to har taraf
sāġhar nachā.e jā.egā chhalkā.e jā.egā
yaad aa gaya wo shaKHs to yaad aae jaega
rulwae jaega hamein taDpae jaega
ta'bir se kabhi to nawazega aasman
kab tak hamare KHwab-mahal Dhae jaega
sar 'ishq ki muhim nahin hoti dimagh se
jo sochta rahega wo ghabrae jaega
itna bhi sabr-o-shukr ka qail nahin ki dil
har kaifiyat mein aap ke gun gae jaega
aata hai rahm naseh-e-mushfiq ke haal par
be-chaara 'umr-bhar hamein samjhae jaega
nazren haTa haTa ke na kyon guftugu karen
hum dekhe jaenge to wo sharmae jaega
thoDi 'sha'ur' aur chaDha le to har taraf
saghar nachae jaega chhalkae jaega
- Book : Ab Main Aksar Main Nahi Rehta (Pg. 103)
- Author : Anwar Shaoor
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : 3rd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.