Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yaad aa ke teri hijr mein samjhaegi kis ko

Jalal Lakhnavi

yaad aa ke teri hijr mein samjhaegi kis ko

Jalal Lakhnavi

MORE BYJalal Lakhnavi

    yaad aa ke tirī hijr meñ samjhā.egī kis ko

    dil nahīñ siine meñ to bahlā.egī kis ko

    dam khiñchtā hai kyuuñ aaj ye rag rag se hamārā

    kyā jaane idhar dil kashish lā.egī kis ko

    uThne nahīñ detī hai jab yaas biThā kar

    phir shauq himmat kahīñ le jā.egī kis ko

    jab maar Daalā hameñ be-tābi-e-dil ne

    karvaT shab-e-furqat meñ badalvā.egī kis ko

    mar jā.eñge be-maut ġham-e-hijr ke maare

    aa.egī to ab zinda ajal pā.egī kis ko

    achchhā rahe tasvīr kisī mire dil par

    kam-baḳht na Thahregā to Thahrā.egī kis ko

    kuchh baiTh gayā dil yahāñ baiTh ke apnā

    ġhairat tirī mahfil se ab uThvā.egī kis ko

    is va.ada-ḳhilāfī ne agar jaan le

    phir jhūTī tasallī tirī taḌpā.egī kis ko

    kyuuñ leñge 'jalāl' aa ke mire dil meñ vo chuTkī

    jhapkegī palak kaahe ko niiñd aa.egī kis ko

    yaad aa ke teri hijr mein samjhaegi kis ko

    dil hi nahin sine mein to bahlaegi kis ko

    dam khinchta hai kyun aaj ye rag rag se hamara

    kya jaane idhar dil ki kashish laegi kis ko

    uThne hi nahin deti hai jab yas biTha kar

    phir shauq ki himmat kahin le jaegi kis ko

    jab mar hi Dala hamein be-tabi-e-dil ne

    karwaT shab-e-furqat mein badalwaegi kis ko

    mar jaenge be-maut gham-e-hijr ke mare

    aaegi to ab zinda ajal paegi kis ko

    achchha rahe taswir kisi ki mere dil par

    kam-baKHt na Thahrega to Thahraegi kis ko

    kuchh baiTh gaya dil hi yahan baiTh ke apna

    ghairat teri mahfil se ab uThwaegi kis ko

    is wada-KHilafi ne agar jaan hi le li

    phir jhuTi tasalli teri taDpaegi kis ko

    kyun lenge 'jalal' aa ke mere dil mein wo chuTki

    jhapkegi palak kahe ko nind aaegi kis ko

    Source:

    Intekhab-e-kalam  Miir Zamin Ali Jalal (Pg. 75)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now