yaad aati hai wo bhuli hui KHatun kabhi
yaad aatī hai vo bhūlī huī ḳhātūn kabhī
be-ḳhayālī meñ jo bajtā hai mirā phone kabhī
maiñ tujhe lams pe raa.e nahīñ de saktā huuñ
maiñ ne dekhā hī nahīñ oḌh ke ye uun kabhī
aur ye kah ke maiñ bhaa.ī ke gale lag gayā thā
jang kartā hai bhalā ḳhuun se bhī ḳhuun kabhī
tum ne kaaTe haiñ kabhī vasl meñ kyā hijr ke din
tum ne mahsūs kiyā january meñ june kabhī
maiñ mohabbat meñ badan chhū ke nahīñ dekhtā 'mehr'
husn hotā nahīñ is par mirā mamnūn kabhī
yaad aati hai wo bhuli hui KHatun kabhi
be-KHayali mein jo bajta hai mera phone kabhi
main tujhe lams pe rae nahin de sakta hun
main ne dekha hi nahin oDh ke ye un kabhi
aur ye kah ke main bhai ke gale lag gaya tha
jang karta hai bhala KHun se bhi KHun kabhi
tum ne kaTe hain kabhi wasl mein kya hijr ke din
tum ne mahsus kiya january mein june kabhi
main mohabbat mein badan chhu ke nahin dekhta 'mehr'
husn hota nahin is par mera mamnun kabhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.