yar ka kirdar aaina nibha sakta nahin
yaar kā kirdār ā.īna nibhā saktā nahīñ
ye tamāsha dekh saktā hai dikhā saktā nahīñ
itnī bāteñ kar chukā huuñ ik ḳhayālī yaar kī
'ishq pahlā hai magar pahlā batā saktā nahīñ
sab kitāboñ meñ rakhe vo phuul ab bekār haiñ
maiñ purānī dhuup meñ jin ko khilā saktā nahīñ
ab bahut mushkil hai pīchhā chhūTnā mujh se tirā
bevafā honā bhī tere kaam aa saktā nahīñ
siskiyoñ meñ saath de saktā hai ronā ho jise
qahqaha us ke liye jo muskurā saktā nahīñ
terī jitnī piine vaale to bahut hoñge magar
tere jaisā koī 'shāriq' laḌkhaḌā saktā nahīñ
yar ka kirdar aaina nibha sakta nahin
ye tamasha dekh sakta hai dikha sakta nahin
itni baaten kar chuka hun ek KHayali yar ki
'ishq pahla hai magar pahla bata sakta nahin
sab kitabon mein rakhe wo phul ab bekar hain
main purani dhup mein jin ko khila sakta nahin
ab bahut mushkil hai pichha chhuTna mujh se tera
bewafa hona bhi tere kaam aa sakta nahin
siskiyon mein sath de sakta hai rona ho jise
qahqaha us ke liye jo muskura sakta nahin
teri jitni pine wale to bahut honge magar
tere jaisa koi 'shaariq' laDkhaDa sakta nahin
- Book : Dukh Naye Kapde Badal Kar (Pg. 68)
- Author :Shariq Kaifi
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.