yahan charagh kab ahl-e-wafa ke jalte hain
yahāñ charāġh kab ahl-e-vafā ke jalte haiñ
jo ham-safar haiñ vahī duur duur chalte haiñ
ye kaisī aag pilā.ī hai sab ko saaqī ne
ki mai-kade ke bhī naqsh-o-nigār jalte haiñ
vo jin kī baat meñ ḳhushbū basī hai sandal kī
unhīñ kī oT meñ zahrīle saañp palte haiñ
chaman kā rang badalne kā un kā vā'da hai
jo mausamoñ kī tarah rangateñ badalte haiñ
nazar meñ vaqt kī raftār har ghaḌī rakhiye
milā sake na qadam jo vo haath malte haiñ
yahan charagh kab ahl-e-wafa ke jalte hain
jo ham-safar hain wahi dur dur chalte hain
ye kaisi aag pilai hai sab ko saqi ne
ki mai-kade ke bhi naqsh-o-nigar jalte hain
wo jin ki baat mein KHushbu basi hai sandal ki
unhin ki oT mein zahrile sanp palte hain
chaman ka rang badalne ka un ka wa'da hai
jo mausamon ki tarah rangaten badalte hain
nazar mein waqt ki raftar har ghaDi rakhiye
mila sake na qadam jo wo hath malte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.