Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yahan jo hai kahan us ka nishan baqi rahega

Irfan Sattar

yahan jo hai kahan us ka nishan baqi rahega

Irfan Sattar

MORE BYIrfan Sattar

    yahāñ jo hai kahāñ us nishāñ baaqī rahegā

    magar jo kuchh nahīñ vo sab yahāñ baaqī rahegā

    safar hogā safar manzileñ mādūm hoñgī

    makāñ baaqī na hogā lā-makāñ baaqī rahegā

    kabhī qarya-ba-qarya aur kabhī ālam-ba-ālam

    ġhubār-e-hijrat-e-be-ḳhānamāñ baaqī rahegā

    hamāre saath jab tak dard dhaḌkan rahegī

    tire pahlū meñ hone gumāñ baaqī rahegā

    bahut be-e'tibārī se guzar kar dil mile haiñ

    bahut din tak takalluf darmiyāñ baaqī rahegā

    rahegā āsmāñ jab tak zamīñ baaqī rahegī

    zamīñ qaa.im hai jab tak āsmāñ baaqī rahegā

    ye duniyā hashr tak ābād rakkhī sakegī

    yahāñ ham jo koī ḳhush-bayāñ baaqī rahegā

    junūñ ko aisī umr-e-jāvedāñ baḳhshī ga.ī hai

    qayāmat tak giroh-e-āshiqāñ baaqī rahegā

    tamaddun ko bachā lene mohlat ab kahāñ hai

    sar-e-girdāb kab tak bādbāñ baaqī rahegā

    hamārā hausla qaa.im hai jab tak sā.ebāñ hai

    ḳhudā jaane kahāñ tak sā.ebāñ baaqī rahegā

    tujhe mālūm hai kuchh hameñ apnī ḳhabar hai

    so ham mar jā.eñge yahāñ baaqī rahegā

    yahan jo hai kahan us ka nishan baqi rahega

    magar jo kuchh nahin wo sab yahan baqi rahega

    safar hoga safar ki manzilen madum hongi

    makan baqi na hoga la-makan baqi rahega

    kabhi qarya-ba-qarya aur kabhi aalam-ba-alam

    ghubar-e-hijrat-e-be-KHanaman baqi rahega

    hamare sath jab tak dard ki dhaDkan rahegi

    tere pahlu mein hone ka guman baqi rahega

    bahut be-e'tibari se guzar kar dil mile hain

    bahut din tak takalluf darmiyan baqi rahega

    rahega aasman jab tak zamin baqi rahegi

    zamin qaim hai jab tak aasman baqi rahega

    ye duniya hashr tak aabaad rakkhi ja sakegi

    yahan hum sa jo koi KHush-bayan baqi rahega

    junun ko aisi umr-e-jawedan baKHshi gai hai

    qayamat tak giroh-e-ashiqan baqi rahega

    tamaddun ko bacha lene ki mohlat ab kahan hai

    sar-e-girdab kab tak baadban baqi rahega

    hamara hausla qaim hai jab tak saeban hai

    KHuda jaane kahan tak saeban baqi rahega

    tujhe malum hai ya kuchh hamein apni KHabar hai

    so hum mar jaenge tu hi yahan baqi rahega

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    yahan jo hai kahan us ka nishan baqi rahega Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now