yahan par KHatm ho jati hain rahen
yahāñ par ḳhatm ho jaatī haiñ rāheñ
bikhar jaatī haiñ sab imkān-gāheñ
junūñ baḌhtā chalā jaatā hai har-sū
añdhere khol kar chalte haiñ bāheñ
dhuñdalkā chiir kar aane lagī haiñ
pighaltī Dūbtī kis kī karāheñ
parinde ḳhalvatoñ se Tuut nikle
phaḌaktī jā rahī pur-zor aa.heñ
ye manzar kyā hai 'mushfiq' kaun ho tum
tumheñ hāsil nahīñ kyūñkar panāheñ
yahan par KHatm ho jati hain rahen
bikhar jati hain sab imkan-gahen
junun baDhta chala jata hai har-su
andhere khol kar chalte hain bahen
dhundalka chir kar aane lagi hain
pighalti Dubti kis ki karahen
parinde KHalwaton se Tut nikle
phaDakti ja rahi pur-zor aahen
ye manzar kya hai 'mushfiq' kaun ho tum
tumhein hasil nahin kyunkar panahen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.