yahan se wapsi ka marhala kitna giran nikla
yahāñ se vāpsī kā marhala kitnā girāñ niklā
bahut kuchh ham ne joḌā aur sab kuchh rā.egāñ niklā
harā thā zaḳhm vālid kā magar ye maañ ko kyā sūjhī
zamīñ pairoñ se niklī thī ki sar se āsmāñ niklā
baḌā nāzuk baḌī ā'sāb-shiknī kā zamāna hai
musalsal koshishoñ ke baa'd muñh se nāgahāñ niklā
mujhe sab dekhte hī rah ga.e kuchh kar nahīñ paa.e
'ajab andāz se maiñ bhī to un ke darmiyāñ niklā
masā.il ek sab ke sab kī zimmedāriyāñ yaksāñ
jo sach pūchho to duniyā ek kunbe kā makāñ niklā
zamīñ par raat din chhoTe baḌe hote hue dekhe
falak par har sitāra vaqt par niklā javāñ niklā
kabhī to rote rote merī ghigghī bandh jaatī hai
zamāna zindagī ke 'aish kā andhā kuaañ niklā
huā majbūr maiñ bhī 'irtizā' āhista chalne par
ki merā har qadam ik bebasī kī dāstāñ niklā
yahan se wapsi ka marhala kitna giran nikla
bahut kuchh hum ne joDa aur sab kuchh raegan nikla
hara tha zaKHm walid ka magar ye man ko kya sujhi
zamin pairon se nikli thi ki sar se aasman nikla
baDa nazuk baDi aa'sab-shikni ka zamana hai
musalsal koshishon ke ba'd munh se nagahan nikla
mujhe sab dekhte hi rah gae kuchh kar nahin pae
'ajab andaz se main bhi to un ke darmiyan nikla
masail ek sab ke sab ki zimmedariyan yaksan
jo sach puchho to duniya ek kunbe ka makan nikla
zamin par raat din chhoTe baDe hote hue dekhe
falak par har sitara waqt par nikla jawan nikla
kabhi to rote rote meri ghigghi bandh jati hai
zamana zindagi ke 'aish ka andha kuan nikla
hua majbur main bhi 'irtiza' aahista chalne par
ki mera har qadam ek bebasi ki dastan nikla
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.