Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yahin kaTta hai waqt aksar hamara

Anwar Shuoor

yahin kaTta hai waqt aksar hamara

Anwar Shuoor

MORE BYAnwar Shuoor

    yahīñ kaTtā hai vaqt aksar hamārā

    yahī ghar hai yahī daftar hamārā

    na jaane kaun masrūfiyat meñ

    guzar jaatā hai din din-bhar hamārā

    ham apne aap tak rahte haiñ mahdūd

    nikalnā band hai bāhar hamārā

    hameñ un se nahīñ thī ye tavaqqo'

    hañseñge vo gila sun kar hamārā

    ham is kam-baḳht se tang aa ga.e haiñ

    hamārā dil hai dard-e-sar hamārā

    rakheñ ham sochne se baaz ḳhud ko

    nahīñ kuchh iḳhtiyār is par hamārā

    'sha'ūr' ek ek pyāsā taak meñ hai

    na koī chhīn le sāġhar hamārā

    yahin kaTta hai waqt aksar hamara

    yahi ghar hai yahi daftar hamara

    na jaane kaun si masrufiyat mein

    guzar jata hai din din-bhar hamara

    hum apne aap tak rahte hain mahdud

    nikalna band hai bahar hamara

    hamein un se nahin thi ye tawaqqo'

    hansenge wo gila sun kar hamara

    hum is kam-baKHt se tang aa gae hain

    hamara dil hai dard-e-sar hamara

    rakhen hum sochne se baz KHud ko

    nahin kuchh iKHtiyar is par hamara

    'sha'ur' ek ek pyasa tak mein hai

    na koi chhin le saghar hamara

    Source :
    • Book : Ab Main Aksar Main Nahi Rehta (Pg. 138)
    • Author : Anwar Shaoor
    • Publication : Rekhta Publications (2024)
    • Edition : 3rd
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now