Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yak-ba-yak dil se tera jalwa-numa ho jaana

Arzoo Saharanpuri

yak-ba-yak dil se tera jalwa-numa ho jaana

Arzoo Saharanpuri

MORE BYArzoo Saharanpuri

    yak-ba-yak dil se tirā jalva-numā ho jaanā

    vo mirā husn ke sho.aloñ meñ fanā ho jaanā

    dekh dil ko mire ne na agar dekhā ho

    TuuT kar saaz mahrūm-e-sadā ho jaanā

    al-amāñ rasan-o-dār se aatī hai sadā

    koī āsāñ hai gunahgār-e-vafā ho jaanā

    mujh se tark-e-gunah-e-ishq ahd na le

    ki maiñ insān huuñ mumkin hai ḳhatā ho jaanā

    lazzat-e-ishq mazbūt huiiñ buniyādeñ

    aa gayā dard-e-mohabbat ko davā ho jaanā

    vo girah-bandī-e-taqdīr tasavvur meñ tire

    vo tabassum tire uqda-kushā ho jaanā

    jazba-e-ishq ye shān-e-talavvun tauba

    kabhī dard aur kabhī dast-e-duā ho jaanā

    'ārzū' qasam ai kūcha-e-jānāñ tujh ko

    kis se sīkhā tire zarroñ ne ḳhudā ho jaanā

    yak-ba-yak dil se tera jalwa-numa ho jaana

    wo mera husn ke shoalon mein fana ho jaana

    dekh dil ko mere tu ne na agar dekha ho

    TuT kar saz ka mahrum-e-sada ho jaana

    al-aman ki rasan-o-dar se aati hai sada

    koi aasan hai gunahgar-e-wafa ho jaana

    mujh se tark-e-gunah-e-ishq ka tu ahd na le

    ki main insan hun mumkin hai KHata ho jaana

    lazzat-e-ishq ki mazbut huin buniyaaden

    aa gaya dard-e-mohabbat ko dawa ho jaana

    wo girah-bandi-e-taqdir tasawwur mein tere

    wo tabassum ka tere uqda-kusha ho jaana

    jazba-e-ishq ki ye shan-e-talawwun tauba

    kabhi dard aur kabhi dast-e-dua ho jaana

    'arzu' ki qasam ai kucha-e-jaanan tujh ko

    kis se sikha tere zarron ne KHuda ho jaana

    Source:

    Ilham-e-Sehar (Pg. 50)

    • Author: Arzoo Saharanpuri
      • Publisher: Urdu Markaz, Maghribi Bengal
      • Year of Publication: 1966
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now