ye achchha wo bura hota hai
ye achchhā vo burā hotā hai
in bātoñ se kyā hotā hai
raat ga.e bhī aa sakte the
darvāza to khulā hotā hai
jaane kyā mahsūs masīhā
dil meñ ek jagah hotā hai
jab dekho us darvāze par
koī na koī khaḌā hotā hai
tum to ḳhush hote ho mil kar
saarā shahr ḳhafā hotā hai
saaf nazar aa jaatā hai vo
jis ne pyaar kiyā hotā hai
chup rahtā huuñ 'sha'ūr' ke muñh par
go afsos baḌā hotā hai
ye achchha wo bura hota hai
in baaton se kya hota hai
raat gae bhi aa sakte the
darwaza to khula hota hai
jaane kya mahsus masiha
dil mein ek jagah hota hai
jab dekho us darwaze par
koi na koi khaDa hota hai
tum to KHush hote ho mil kar
sara shahr KHafa hota hai
saf nazar aa jata hai wo
jis ne pyar kiya hota hai
chup rahta hun 'sha'ur' ke munh par
go afsos baDa hota hai
- Book : Ab Main Aksar Main Nahi Rehta (Pg. 68)
- Author : Anwar Shaoor
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : 3rd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.