ye ‘azm-e-zindagi to kahin mar nahin gaya
ye ‘azm-e-zindagī to kahīñ mar nahīñ gayā
muddat huī ki daar pe ik sar nahīñ gayā
maiñ dekhne kī chaah meñ āñkheñ luTā chukā
lekin junūn-e-ḳhvāhish-e-manzar nahīñ gayā
TuuTe hue butoñ ko nikālā gayā to kyā
ab tak hamāre shahr se aazar nahīñ gayā
dil se ḳhayāl-e-dahshat-e-rahzan to jā chukā
lekin malāl-e-sāzish-e-rahbar nahīñ gayā
'arsa huā ki sūrat-e-ādam nahīñ milī
muddat huī ki shahr se bāhar nahīñ gayā
go lamha lamha ziist meñ dekhīñ qayāmateñ
lekin yaqīn-e-vā’da-e-mahshar nahīñ gayā
'arsa huā ki aañkh meñ utrā nahīñ hai ashk
muddat huī hai dosto maiñ ghar nahīñ gayā
yuuñ to kisī bhī dard kī dil se nahīñ banī
bas ek terā ġham ki jo aa kar nahīñ gayā
ye ‘azm-e-zindagi to kahin mar nahin gaya
muddat hui ki dar pe ek sar nahin gaya
main dekhne ki chah mein aankhen luTa chuka
lekin junun-e-KHwahish-e-manzar nahin gaya
TuTe hue buton ko nikala gaya to kya
ab tak hamare shahr se aazar nahin gaya
dil se KHayal-e-dahshat-e-rahzan to ja chuka
lekin malal-e-sazish-e-rahbar nahin gaya
'arsa hua ki surat-e-adam nahin mili
muddat hui ki shahr se bahar nahin gaya
go lamha lamha zist mein dekhin qayamaten
lekin yaqin-e-wa’da-e-mahshar nahin gaya
'arsa hua ki aankh mein utra nahin hai ashk
muddat hui hai dosto main ghar nahin gaya
yun to kisi bhi dard ki dil se nahin bani
bas ek tera gham ki jo aa kar nahin gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.