ye baat sach hai ki main surat-e-habab raha
ye baat sach hai ki maiñ sūrat-e-habāb rahā
hai ye bhī sach mirī muTThī meñ āftāb rahā
jo dūsre kī ḳhushī ke liye jiyā ai dost
tire jahāñ meñ vo insān kāmyāb rahā
havā ne ret ko tūdoñ kī shakl de dī thī
magar jab āñdhiyāñ aa.iiñ to kyā hisāb rahā
hazār kāvish-o-koshish pe bhī kabhī na khule
vo dost jin ke liye maiñ khulī kitāb rahā
tire shabāb ne luuTe hamāre sabr-o-sukūñ
hamārī jaan kā levā tirā shabāb rahā
koī umiid bhī puurī na ho sakī 'manzil'
jo ḳhvāb dekhā thā maiñ ne vo sirf ḳhvāb rahā
ye baat sach hai ki main surat-e-habab raha
hai ye bhi sach meri muTThi mein aaftab raha
jo dusre ki KHushi ke liye jiya ai dost
tere jahan mein wo insan kaamyab raha
hawa ne ret ko tudon ki shakl de di thi
magar jab aandhiyan aain to kya hisab raha
hazar kawish-o-koshish pe bhi kabhi na khule
wo dost jin ke liye main khuli kitab raha
tere shabab ne luTe hamare sabr-o-sukun
hamari jaan ka lewa tera shabab raha
koi umid bhi puri na ho saki 'manzil'
jo KHwab dekha tha main ne wo sirf KHwab raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.