ye baja sahi mujhe aapne meri manzilon ka pata diya
ye bajā sahī mujhe aap ne mirī manziloñ kā pata diyā
mire saath saath na chal sake mirā hausla to baḌhā diyā
kabhī soz-e-'ishq se shām-e-ġham mire jism-o-jāñ jo sulag uThe
tire ġham kī 'umr darāz ho inheñ āñsuoñ se bujhā diyā
shab-e-ġham kā haal na pūchhiye yahī kashmakash rahī raat bhar
kabhī be-ḳhudī ne sulā diyā kabhī bekalī ne jagā diyā
na yaqīn-o-'azm ke naqsh the na kahīñ umang kā rang thā
thī hayāt saada varaq varaq jise hādsoñ ne sajā diyā
na huā hai ḳhatm na ho kabhī ye fasāna-e-ġham-e-'āshiqī
jo kabhī kahīñ se sunā diyā to kabhī kahīñ se sunā diyā
baḌī dardnāk hai ham-nashīñ mire āshiyāñ kī ye dāstāñ
jise bijliyāñ na jalā sakīñ use bāġhbāñ ne jalā diyā
mujhe ai 'aqīl' ye fikr thī ki kaTegī kaise shab-e-alam
magar un kī yaad kā shukriya ki thapak thapak ke sulā diyā
ye baja sahi mujhe aap ne meri manzilon ka pata diya
mere sath sath na chal sake mera hausla to baDha diya
kabhi soz-e-'ishq se sham-e-gham mere jism-o-jaan jo sulag uThe
tere gham ki 'umr daraaz ho inhen aansuon se bujha diya
shab-e-gham ka haal na puchhiye yahi kashmakash rahi raat bhar
kabhi be-KHudi ne sula diya kabhi bekali ne jaga diya
na yaqin-o-'azm ke naqsh the na kahin umang ka rang tha
thi hayat sada waraq waraq jise hadson ne saja diya
na hua hai KHatm na ho kabhi ye fasana-e-gham-e-'ashiqi
jo kabhi kahin se suna diya to kabhi kahin se suna diya
baDi dardnak hai ham-nashin mere aashiyan ki ye dastan
jise bijliyan na jala sakin use baghban ne jala diya
mujhe ai 'aqil' ye fikr thi ki kaTegi kaise shab-e-alam
magar un ki yaad ka shukriya ki thapak thapak ke sula diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.