ye bala mere sar chaDhi hi nahin

Riyaz Khairabadi

ye bala mere sar chaDhi hi nahin

Riyaz Khairabadi

MORE BY Riyaz Khairabadi

  ye balā mere sar chaḌhī nahīñ

  maiñ ne kachche ghaḌe nahīñ

  aag aisī kabhī lagī nahīñ

  ki lagī dil phir bujhī nahīñ

  bhī yuuñ jaise maiñ ne nahīñ

  muñh se mere kabhī lagī nahīñ

  dil na jab tak huā sharīk-e-hinā

  mehñdī un kabhī pisī nahīñ

  shikan-e-zulf halqa-e-gesū

  beḌiyāñ bhī haiñ hathkaḌī nahīñ

  kaun letā balā.eñ paikāñ

  aarzū koī dil meñ thī nahīñ

  kis qadar huuñ banā havā meñ bhī

  jaise maiñ ne sharāb nahīñ

  dil meñ kyā aa.e kyā chale dil se

  tum ne chuTkī to koī nahīñ

  sub.h jhuTpuTā thā shaam na thī

  vasl raat raat thī nahīñ

  kyuuñ sune shaiḳh qulqul-e-mīnā

  us ne aisī kabhī sunī nahīñ

  aa.e aane ko fasl-e-gul sau baar

  mere dil kalī khilī nahīñ

  haa.e sabze meñ vo siyah botal

  kabhī aisī ghaTā uThī nahīñ

  laag bhī dil se hai lagāv ke saath

  dushmanī bhī hai dostī nahīñ

  muñh lagānā mirā ik aafat thā

  ḳhum meñ vo chiiz jaise thī nahīñ

  bazm-ārā-e-hashr ke sadqe

  mahfil aisī kabhī jamī nahīñ

  kuchh maze meñ ham aa ga.e aise

  tauba piine se ham ne nahīñ

  koī nā-ḳhush 'riyāz' se kyuuñ ho

  us ravish vo aadmī nahīñ

  ye bala mere sar chaDhi hi nahin

  main ne kachche ghaDe ki pi hi nahin

  aag aisi kabhi lagi hi nahin

  ki lagi dil ki phir bujhi hi nahin

  pi bhi yun jaise main ne pi hi nahin

  munh se mere kabhi lagi hi nahin

  dil na jab tak hua sharik-e-hina

  mehndi un ki kabhi pisi hi nahin

  shikan-e-zulf halqa-e-gesu

  beDiyan bhi hain hathkaDi hi nahin

  kaun leta balaen paikan ki

  aarzu koi dil mein thi hi nahin

  kis qadar hun bana hawa mein bhi

  jaise main ne sharab pi hi nahin

  dil mein kya aae kya chale dil se

  tum ne chuTki to koi li hi nahin

  subh ka jhuTpuTa tha sham na thi

  wasl ki raat raat thi hi nahin

  kyun sune shaiKH qulqul-e-mina

  us ne aisi kabhi suni hi nahin

  aae aane ko fasl-e-gul sau bar

  mere dil ki kali khili hi nahin

  hae sabze mein wo siyah botal

  kabhi aisi ghaTa uThi hi nahin

  lag bhi dil se hai lagaw ke sath

  dushmani bhi hai dosti hi nahin

  munh lagana mera ek aafat tha

  KHum mein wo chiz jaise thi hi nahin

  bazm-ara-e-hashr ke sadqe

  mahfil aisi kabhi jami hi nahin

  kuchh maze mein hum aa gae aise

  tauba pine se hum ne ki hi nahin

  koi na-KHush 'riyaz' se kyun ho

  us rawish ka wo aadmi hi nahin

  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY