ye be-ruKHi hai kaisi tumhaari nigah mein
ye be-ruḳhī hai kaisī tumhārī nigāh meñ
shāyad kahīñ kamī thī hamārī hī chaah meñ
lamhe vo sab hasīñ the bahut dil-gudāz the
guzre jo ḳhvāb ban ke tumhārī panāh meñ
aisā bhī kyā ki tum ko mohabbat na ho sakī
aisā bhī kyā ki ham na jache haiñ nigāh meñ
khulte haiñ mar ke ham pe sabhī rāz-e-zindagī
jiinā to ik paḌāo hai manzil kī raah meñ
'naqvī' kā intisāb hai us shaḳhsiyat ke naam
rakkhā hai jis ne dil kā sahīfa panāh meñ
ye be-ruKHi hai kaisi tumhaari nigah mein
shayad kahin kami thi hamari hi chah mein
lamhe wo sab hasin the bahut dil-gudaz the
guzre jo KHwab ban ke tumhaari panah mein
aisa bhi kya ki tum ko mohabbat na ho saki
aisa bhi kya ki hum na jache hain nigah mein
khulte hain mar ke hum pe sabhi raaz-e-zindagi
jina to ek paDao hai manzil ki rah mein
'naqwi' ka intisab hai us shaKHsiyat ke nam
rakkha hai jis ne dil ka sahifa panah mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.