ye bhi kya kam koi tauqir hamare liye hai
ye bhī kyā kam koī tauqīr hamāre liye hai
us ke tarkash kā har ik tiir hamāre liye hai
dil-e-bīnā hī sadā raah dikhātā hai hameñ
koī murshid na koī piir hamāre liye hai
apne hī ghar ke masā.il se vo rahtā hai malūl
ham samajhte haiñ vo dil-gīr hamāre liye hai
ham ne dekhā hai tumheñ jaisā ġhazal meñ apnī
bas tumhārī vahī tasvīr hamāre liye hai
ham ko āzād vo rakhnā hī nahīñ chāhtā hai
koī zindāñ ho ki zanjīr hamāre liye hai
tū garāñ-qadr sahī ham bhī tahī-dast nahīñ
bahut āsāñ tirī tasḳhīr hamāre liye hai
ham jo betāb haiñ qurb-e-badanī kī ḳhātir
roz-e-avval se ye taqdīr hamāre liye hai
ham jo mujrim haiñ to kuchh aur sazā ham ko na de
ye tirā shahr hī tā'zīr hamāre liye hai
lab-e-goyā se kare sab se vo bāteñ 'najmī'
lab-e-ḳhāmosh kī taqrīr hamāre liye hai
ye bhi kya kam koi tauqir hamare liye hai
us ke tarkash ka har ek tir hamare liye hai
dil-e-bina hi sada rah dikhata hai hamein
koi murshid na koi pir hamare liye hai
apne hi ghar ke masail se wo rahta hai malul
hum samajhte hain wo dil-gir hamare liye hai
hum ne dekha hai tumhein jaisa ghazal mein apni
bas tumhaari wahi taswir hamare liye hai
hum ko aazad wo rakhna hi nahin chahta hai
koi zindan ho ki zanjir hamare liye hai
tu garan-qadr sahi hum bhi tahi-dast nahin
bahut aasan teri tasKHir hamare liye hai
hum jo betab hain qurb-e-badani ki KHatir
roz-e-awwal se ye taqdir hamare liye hai
hum jo mujrim hain to kuchh aur saza hum ko na de
ye tera shahr hi ta'zir hamare liye hai
lab-e-goya se kare sab se wo baaten 'najmi'
lab-e-KHamosh ki taqrir hamare liye hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.