ye bhi sach hai ki hum mein bacha kuchh nahin
ye bhī sach hai ki ham meñ bachā kuchh nahīñ
maiñ to us kā hī huuñ vo mirā kuchh nahīñ
yā'nī ab ham use yaad aate nahīñ
yā'nī muddat se us ne likhā kuchh nahīñ
us ko kaise manāte ki us ke yahāñ
minnateñ kuchh nahīñ iltijā kuchh nahīñ
ab kahānī kā kirdār mar jā.egā
ab kahānī ke andar bachā kuchh nahīñ
ham daraḳhtoñ se phaile hue haiñ magar
apnī jaḌ kā hameñ hī pata kuchh nahīñ
ye bhi sach hai ki hum mein bacha kuchh nahin
main to us ka hi hun wo mera kuchh nahin
ya'ni ab hum use yaad aate nahin
ya'ni muddat se us ne likha kuchh nahin
us ko kaise manate ki us ke yahan
minnaten kuchh nahin iltija kuchh nahin
ab kahani ka kirdar mar jaega
ab kahani ke andar bacha kuchh nahin
hum daraKHton se phaile hue hain magar
apni jaD ka hamein hi pata kuchh nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.